Saturday 14 December 2013

Joke sms In Urdu Of HusbAnd Wife Funny 2013 Sms English With Pictures On Zardari Images Lauguage

Joke sms In Urdu Biography

Source(google.com.pk)
Officer: kia tum mot kay baad zindagi par yaqeen rakhtay ho?
Servent: ji bilkul janab!

Officer : kal jab tum chutti lay kar apnay dada kay janaza par gaye the to tumhari talash mein yahan aaye the.

Aik basti mein kisi ko namaz parhni nahi aati thi. Kisi duray shehar say molwi namaz parhanay aaya tha. Aik darakht key nichay namaz parhanay khara hua to aik titya is molwi ki qameez mein ghus gia to is nay qameez utar di, phir pichay kharay sab logon nay qameez utar di. Phir do titye is ki dhoti mein ghus gayi to is nay dhoti bhi utar di. Pichay sab nay dhoti utar di. Phir woh bhagta bhagta kuyein (well) mein gir gia. Is kay pichay sab kuyein mein girnay lagay. Aik aadmi nay kaha. Yeh kia kar rahain hain. Dusray aadmi nay jawab dia. Chup ho jaao jamayat ho rahi hai.
Kisi dehati nay apnay dost say kaha. Chalo shehar ki sair karnay chaltay hain.

Is kay dost nay kaha dil to mera bhi buhat chahta hai lekin mein jagah jagah jo hidayatain darj hoti hain in par amal karna khasa mushkil hai. Pichlay mahinay mein shehar gia. Aik jagah likha tha. Yahan thukye. Majburan mujhay wahan thukna para. Dusri jagah likha tha raddi kaghaz is mein dalein. Mein nay sarak say raddi utha kar is mein daal di. Chund qadam aagay barha wahan likha tha, rafter 40 mile fi ghanta bhala bataao mein burha aadmi itni tez raftari say kaisay dor sakta hon lekin marta kia na karta mein nay 40 mile fi ghanta ki rafter say dor laga di aur is din kay baad mein nay shehar janay say tobah kar li.

Ostaad shagird say ----aap kal school kiun nahi aaye the?”

Shagird-“sir mujhay bird flu ho gia tha.”

Ostad-“bird flu to murghiyon ko hota hai.”

Shagird-“mein ab insane nahi raha sir, kiun keh aap mujhe har roz murgha jo bana detay hain.”
 um is ko rok kiun rahay ho...?

Tab us aadmi nay bataya " mein apni cheenk ko roknay ki koshish kar raha hon. Kiun keh meri biwi nay kaha tha jab bhi tumhain cheenk aaye to samajhna keh main yaad kar rahi hon. aur tum foran meray paas aajana.

Dusra aadmi bola " to is mein konsi buri baat hai?

Us aadmi nay jawab dia " woh is liye keh meri biwi mar chuki hai.

Aik saheb baray tam’taraq say rukhsat ho kar haj kay liye rawanah huye. Rastah mein niyat kharab ho gayi aur aik shehar mein deray daal liye. Do maah baad jab wapis huye to milnay walon par yeh zahir kia keh haj kar kay aarahay hain. Logon nay baray ishtiyaq say wahan ki batain pucheen aik saheb nay kaha.

“hij-re-aswad ko to aap nay dekha hoga:”

“kiun nahi. Kia kehnay in kay. Bari buzurg shakhsiyat hain.”

Aji shakhsiyat kahan. Woh to pathar hai.”
Aik dehati pehli bar hawayi jahaz mein sawar hua. Jab is kay urnay ka waqt hua to is nay ankhain band kar lein, do minute kay baad is nay ankhain kholein to sath baithay huye shakhs say kaha, janab hum kitni unchayi par puhanch gaye hain.

Bahir aadmi chiyon'tiyon (ants) ki tarah nazar aarahay hain.

Dusra aadmi: yeh chiyon'tiyan(ants) hi hain abhi to jahaz ura hi nahi.

Aik saheb station ki taraf jatay huye logon say pooch rahay the.
Station idhar hi hai.

Har koi jawaban kehta. Aaho

Aik khush posh saheb say jab inhon nay yahi sawal poocha to inhon nay jawab dia. Ji han

Woh saheb poochnay lagay. bhayi baaqi sab logon nay to aaho kaha hai. aap nay ji han kaha hai. farq kia hai?

Woh saheb akar kar bolay. janab parhay likhay aur mohazzib log ji han kehtay hain jabkeh un parh aur jahil qisam kay log aaho kehtay hain.

In saheb nay pucha. Kia aap parhay likhay hain?
Woh saheb foran bolay. aaho
Larka: aik litter bhains ka doodh day do.

Dhood wala tumhara tartan chota hai.

Larka acha to phir bakri ka hi day do.

Aik bar mulla nasir uddin ka gadha mar gia to gayon kay shararti bachon nay mazzaq mein rona shuru kar dia. Gayon kay chodhri nay inhain mana kia to mulla nasir uddin nay kaha. Inhain ronay dijye. Marhoom in ka bhayi tha.

Hotal mein thehray huye aik shakhs nay hotal kay malik ko jhan’jhor kar uthatay huye kaha.

Khuda ra jaldi uthye meri biwi khirki say kood kar khood kasha karna chahti hai.

To mein is silsilay mein aap ki kia madad kar sakta hon. Malik nay hairani say pucha.

Woh dar asal kamray ki khirki nahi khul rahi. Woh shakhsh jhonjhla kar bola.
Baap betay khana kha rahay the to betay nay kaha. Abbu……….
Baap nay kaha. “chup karo khana khatay waqt baat nahi kartay.” Jab dono baap betay nay khana kha lia to baap nay kaha. “beta tum kia keh rahay the?

Betay nay jawab dia. Abbu roti mein makkhi thi woh aap kha gaye hain.

Aik truck aur rickshaw ki aapas mein takkar ho gayi. Aik rah geer nay haadsay ki jagah par mojood dusray shakhs say pucha.

Bhayi jaan. Yeh haadsah kaisay pesh aaya?

Dusray shakhs nay jawab dia. Allah behtar janta hai. nishanah to inhon nay kisi rah geer ka hi lia hoga. Pata nahi aapas mein kaisay takra gaye.

Allah ki panah….tum nay apni tangain kis buri tarah say turwalein. Aakhir yeh hua kaisay?

Doctor nay muainah karnay kay baad mareez say pucha.

Aadat ki wjah say. Mareez nay afsurdagi say jawab dia.

Dar asal ……… mein nay cigarette man hole mein phenka aur isay joton say masalnay ki koshish ki.

Aik sabzi faroosh kay han bacha paida hua. Parosi waghairah dekhnay kay liye aaye huye the. aik khotoon nay pucha. Bhayi saheb bacha kaisa hai?

Sabzi farosh bola. Bilkul taza hai.

No comments:

Post a Comment