source(google.com.pk)
Best Jokes in Urdu:
Teacher nay shagird say kaha tum sab taiyari kar kay aana mein nay tum logon say sirf aik sawal puchna hai. dusray din teacher nay kaha. “ bataao keh tumharay sar par ketnay baal hain”.
Aik student khara ho kar kaha “2 karor, 20 lack, 35 thousand, 7 hundred, 93.”
Teacher hairan ho kar “ yeh tum nay kaisay ginay.
Student janab yeh mein nahi bata sakta kiun keh mein aik sawal ki taiyari kar kay aaya hon.
Aik saheb nay apnay hamsaye ka darwazah khatkhataya. Dusray saheb bahir niklay to woh bolay.
“baat dar asal yeh hai keh aap ki cat meri gari kay nichay aakar kuchli gayi hai. mein is noqsaan ki talafi karna chahta hon.”
Jawab mila- “ theek hai kia aap ko (choohay) rat pakarnay ka tajurbah hai?”
Urdu Jokes
Pakistani jokes likes very much, especially in young generation. After common the mobile phone they share jokes through mobile phone. Now a day there are many tensions in every life. Everybody live their life in tension. You have to fresh your mood for spent happy life. We provide you a movement for your mood fresh with help of funny jokes. Some Pakistani jokes which fresh your mood.
Read the best collection of jokes, jokes in urdu, jokes sms, Lateefay, jokes for kids, lateefay funny in urdu, jokes in urdu sms, jokes in roman urdu, latifay, lateefay urdu, lateefay urdu sms, lateefay funny, Urdu Jokes, Urdu Latifay, best Jokes, free Jokes, latifay in urdu, latifay urdu funny, latifay on pathan in urdu, latifay urdu sardar, latifay on pathan, latifay urdu sms, jokes in urdu, sms, latifay, fun, funny talk, halla gulla, smile.
Pakistani Jokes:
aik angrez(english) nay Hazraht Hussain Nizami say pucha.
"saray anrezon ka rung aik sa hota hai lekin patah nahi kiun saray hundustaniyon ka rung aik sa nahi hota."
khuajah Hussain Nizami nay jawab dia.
saray ghoron kay rung mukhtalif hotay hain lekin saray gadhon ka rung aik sa hota hai.
Aik burha siasat dan taqreer karnay laga to is kay masnuyi daant nikal kar gir paray is nay jaldi say utha kar laga liye. Phir taqreer shuru ki to phir daant gir paray. Isi tarah jab teen char bar hua to logon mein say kisi maskharay nay kaha.
Cassette hi tabdeel kartay rahain gay ya kuch kahain gay bhi.
Aik larka apnay dost ko bata raha tha. “ Meray abu mein bari khubyan hain. Bahadur itnay jaisay sheer, tandarust itnay hain jitna Hathi aur ankhain to baaz ki tarah taiz hain.
Dusra dost foran bola. Agar hum in ko dekhna chahain to ketnay ka ticket lena hoga.Lateefay hi Lateefay:
aik aurat dental surgeon kay kamray mein dakhil huyi aur muhabbat say boli. "mujhay jaldi hai doctor! aap ko aik daant foran nikalna hai, barah karm apni fees bata dein.
Doctor nay fees batayi to aurat nay kaha. " yeh to buhat ziadah hai. "doctor nay kaha "is mein fees kay elawah jild ko sun karnay wali medicine ki qimat bhi shamil hai."
aurat nay kaha. " aap medicine ko chorain aur yunhi daant nikal dein.
doctor nay hairat say kaha " aap jaisi bahadur aurat mein nay kabhi nahi dekhi."
daant mera nahi meray shohar ka nikalna hai woh bahir baitha hua hai. aurat nay kaha.
Aik saheb London kay kisi hotal mein khana khanay gaye. Woh murghi khana chahtay the lekin ain waqt par woh murghi ki English bhool gaye. Woh isi sonch mein the keh beray nay aakar kaha. “what do you want?”
In saheb nay jawab dia. I want egg’s mother.
Hallagulla:
Judge: (chor say) tum nay is dukan mein chori kiun ki.
Chor( judge say) janab dukan par likha tha.
Aao aur le jaao.
Aik saheb dusray say. Is dafa mein nay Qurbaani ka sara gost baant dia.
Dusray hairan hotay huye. “ bhayi hairat hai hum nay to dekha nahi. Aap nay kahan gosht baanta?”
Apnay freezer mein. in saheb nay itminan say jawab dia.
No comments:
Post a Comment