Source(google.com.pk)
Tumse mila main kal to,
mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho:
Your file not found!
Aisa bhi nahin hai ke,
I don't like your face
Par dil ke computer mein,
nahin hai enough disk space
Ghar se nikalti ho tum jab,
pehen ke evening gown
Too many requests se,
ho jaata hai server down
36 Digg9 190
Tumhaare liye pyaar ki application,
create main karoonga
Tum usse debug karna,
wait main karoonga
Tumhaara intezaar karte karte,
main so gaya
Yeh dekho mera connection,
time out ho gaya
Ghazal - 2
Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo
Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao
Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain
Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho
Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar
Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift Delete kar doonga
Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai
Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file
Ghazal - 3
Imagine Guru Dutt after working for few months in Software Industry would
make a movie "software kephool" & include this song:
yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?
Yahaan ek khilona hai programmer ki hasti
ye basti hai murda bug-fixers ki basti
yahaan par to raises hai, inflation se sasti
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?
har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi
yeh office hai ya aalame microsoft ki
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?
jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor
mere saamne se hataa daalo yeh modem
tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer
yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?
Apni Aisi Wife Hou
Apni aaisee wife ho,.
5'6" jiski height ho,
Jeans tight tight ho,
Chehra jiska bright ho,
Umar 22 se 27 ho,
Aise apni Wife ho.
Sadak per sab kaheN kya cute ho,
Bhir me sab kaheN side ho, side ho,
Pindi, Islamabad ya Peshawar ki paidaish ho,
Sas ki khidmat jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho.
Padosi jab baat karay to haath me knife ho,
Dinner ke waqt candle light ho,
Ham me tum me kabhi na koi fight ho,
Milnay ke baad dil delight ho,
Aise apni Wife ho.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
LARKI KA JAWAB
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
6'2" jiski height ho
Jeans dheeli magar body tight ho
Biwi ka her nakhra uthaye, itna mizaaj uska light ho
Husband apna aisa bright ho
Uff tak na kare itna quiet ho
Dinner banaye wo jab bhi romantic night ho
Shopping ker ke jab bhi aoon, bolay begum tum kitni nice ho
Husband apna aisa bright ho
Mujhay rani bana ker rakhay, to phir zindagi delight ho
Saas sussar ke samne kahay, jaan tum hamesha right ho
Hamesha jo haar maan jaye, jab bhi kabhi fight ho
Husband apna aisa bright ho
Jaha chahoon jaoon, jo chahy karoon, kuch is tarah ki life ho
Her doosray week ghoomne phirne ki flight ho
Aisa ho jaye to mein urron aasman mein, jaisay ke kite ho
Husband apna aisa bright ho
No comments:
Post a Comment