Urdu Adult Jokes Biography
Source(google.com.pk)Aik martaba raat giay aik chor ghar main dakhil huwa sab log so rahe the chor ne bagair kisi pareshani aur rokawat kay sara ghar chan mara magar koyi chiz hath na aayi khosusan sona wagaira, aakhir wo soye hoye afraad khana kay pas ponhcha aur saheb ko utha ker qadre roub se bola. Sona kidhar hai. Un saheb ne beghair aankh khole itminan se jawab dia. Sara ghar khali hai jahan ji chahe so jao.
Sabiq Cricketer Imran Khan Vote mangne kay liye kisi muhalley mein gaye. Wahan kisi ka inteqal hogia tha. Imran ne soncha k Vote mangne ka acha tariqa hai.
Progam kay mutabiq wo wahan gaye. Fateha parhi bole. “Allah bakhshe marhoom mere jigri dost the. Rozana mere ghar tashreef late. Aur hum aadhi raat tak guftagu karte. Kabhi kabhi to wo mere ghar sojate. “log buhat hairan hoye. Imran Khan ne hairan hone ki wajah puchi to logon ne bataya k marne wali to ghulam rasool ki ghar wali thi.
Aik aadmi jangal jangal se guzar raha tha
Lion: "aaj mein tumhara khoon pi jaaonga".
Aadmi: "mera khoon thanda hai, mere piche aik nojawaan aaraha hai us ka khoon garam hai uss ka khoon pina."
Lion: "nahi, aaj mera dil cold drink pine ko ji chah raha hai."
Aik bhikari Sarak(Road) par langra kar chal raha tha. Samne se teen dost aarahe the. Bhikari ko iss tarah chalet daikh kar pehle dost ne kaha. “yar dekho be chare bhikari ki tang tooti hoyi hai”.
Doosre dost ne kaha: “nahi yar! Mujhe lagta hai keh is ki tang maflooj ho gayi hai.”
Yeh sun kar tisra dost bola. “ tum donon ghalat andaze laga rahe ho, mujhe lagta hai is ki tang ko polio ho chukka hai”.
Iss baat par teenon doston mein takraar hone lagi. Bala-akhir inhon ne faislah kia keh wo bhikari se hi puch lete hain, wo teenon bhikari ke paas gaye aur is se pucha. “ bhayi saheb! Yeh aap ki tang kis tarah tooti”.
Bhikari (ghosse se teenon doston ko ghurte hoye bola) “arey! Meri tang nahi balkeh mera juta tuta hai “.
Imran: “ iss gaye (cow) ke singh kiun nahi hain?
Jalal: “ baaz ke paidaishi nahi hote, baaz ke larayi jhagray mein toot jate hain, baaz ke hum khood kaat dete hain lekin jis kit tum baat kar rahe ho yeh, gaye nahi gadha hai.”
Aik saaheb ki binayi kamzor ho rahi thi. Wo aankhon ke doctor ke paas gaye. Doctor ne aankhon ka check up karne ke baad kaha: “ abhi aap ainak na lagwayain balkeh aap carrots khana shoro kar dain.”
In sahib ne kaha: “ lekin carrots to hamare kharghosh (rabbit) buhat raghbat se khate hain, yeh ajeeb ilaaj hai.”
Doctor: “kia aap ne apne rabbit ko ainak lagate dekha hai?”
Zahni maraaz ke hospital se aik mareez ko chutti dene se pehle doctor ne mareez se kaha. “Allah ka shukar hai ab aap bilkul theek hain. Aaj hum aap ko ghar bhaij rahe hain. Aap hamara bil ada kar dain.”
Mareez ne shahana lehje main kaha. “ bil kon sa bil? Shahi tabyat tumhara dimagh to kharab nahi ho gia keh Akbar Badsha se bil ki raqam mang rahe ho”.
Atif : “yar farhan! Mein ne suna hai keh mosiqi ke asraat se pani kholta hai.”
Farhan: “ yeh to sach hi hoga kiun keh jab tum gana gate ho to aksar mera khoon kholta uthta hai.”
Aik aurat ne apni saheli se pucha “buhat arse se tumhare shohar nazar nahi aarahe, kia baat hai, kia vo bimaar hain?”
Saheli Boli “kuch arse pehle vo bimaar the, main unhain Doctor key paas le gayi, Doctor ne unhain aaram karne ka mashwarah dia aur kaha keh jab tak mein na kahon, bistar se na uthna, iss key baad doctor ka inteqaal ho gia.”
Aik saheb apne dost key ghar rahne gaye, dost ka aik hi bacha tha jin se saheb har waqt batain karte rahte the, bacha in key har waqt bolne se be had tang tha, aik din saheb ne bache se kaha. “Mian! Agar mein kahon keh abhi raat ho rahi hai magar din ka waqt ho to tum kia karo gay?”
Bache ne munh banate huye jawab dia. “ Abbu se kahun ga keh aap ko pagal khane le jayain.”
Aik kanjus shakhsh ne ghar mein dakhil ho kar apni begam ko zordar aawaz dekar kaha
.Begam : aaj to hum khana bahir khayenge.
Begum ne khushi khushi kaha bas mein panch minute mein kapre badal kar ayi.
Kanjus: arey kapre badalne ki kia zarurat hai mein to keh raha tha keh aaj sehan mein beth kar khana kha lete hain
No comments:
Post a Comment