Jokes Urdu Sms Biography
Source(google.com.pk)Aik saheb keraya per makan lekar aik naye muhalla main gaye. Chaar roz baad in kay darwaze per dastak hoyi wo saheb bahir niklay to aik aadmi assalam aliqum kah ker bola.
Naye parosi hone ki haisyat se aap se mil ker buhat khushi hasil hoi hai lakin sath hi aap ki khidmat main aik guzarish bhi hai.
Farmaiye kia kaam hai.
Kerayadar ne kaha.
Guzarish ye hai keh aap zara maddhim aawaz main kharrate lia karain ke mari nind kharab na ho sake.
Sikaiti parosi se mukammal tayaruf ke liye poocha gia.
App ki tareef.
Jabab dia gia.
Saheb main aap ke is muhalley ka chokidar hoon.
Sipahi: (cycle sawar se) ruk jaao tumhari cycle mein light nahi hai.
Cycle sawar : ruk nahi sakta janab. Is mein brackein bhi nahi hain.
Shagird (maths k teacher say) janab! English kay teacher English mein baat krtay hain, Urdu kay teacher urdu mein aur Arbic kay Arabic mein aap bhi maths mein baat kia karein.
Teacher: “Mujh say teen panch mat karo, sari char so bisi nikal donga, chalo no do giarah ho jao warna aisa maron ga bas aik kay do nazar aayein gay.”
Aik Shakhs (doosray say): Mein M.A pas hon.
Doosra shakhs mein poori ABC pas hon.
Amir (Nasir say): kia tum English jantay ho?
Nasir: han agar Urdu mein boli jaye.
Aik dost (doosray dost say):Meri aankh mein dard hai koi ilaaj batao.
Doosra dost: meray dant mein dard tha, mein nay nikalwa dia tum bhi aisa hi karo.
Aik dafa aik musafir ko apni manzil per jate huye rastey main raat ho gayi. Is ne rastey main aik musafir khane yani saraye main raat basar karne ka faisla kia. Musafir ke pas aik sufaid rung ka ghora bhi tha.
Is ne wo ghora saraye kay mulazim ko de kar kaha keh tumhain iski hefazat karni hai. Sath hi is ne yeh sonch ker keh mulazim so na jaye isey lohe ka bana huya aik aalah dia jis se bhison ko nahlate huye ragar ragar kar in kay jism ki gandagi saaf kartay hain aur kaha keh is se ghorey ke jisam ko ragarte ya ghaste rahna. Ye kah ker wo so gia.
Mulazim thuri dair to ghorey ke jism ko lohe ke aaley se ragarta raha. Phir ye soch ker ke yahan konse chor aayen ge main bhi so jata hoon wo bhi so gia.
Sobha jab mulazim utha to ye daikh ker bara pareshan hoya keh ghora chor le gaya hai. Ab malik ko kia jawab de ga. Is ke zehan main aik terkeeb aagaii.
Is ne jaldi se ja ker jungal se aik sufaid rung ka khargosh pakra aur isko lohe ke aaley se ghasna shuroo kar dia. Isi doran malik uth giya aur ghorey ko gayab daikh ker poocha ghora kahan hai aur ye tum kia kar rahe ho.
Mulazim ne khargosh ki taraf ishara kerke kaha. Janab ye ghora hi to hai. Sari raat ghaste ghaste itna sara rah gia. Ab aap batayain aur ghasoon ya bas karoon.
Aik dost (Doosray say): Tumhari ammi ko kaisay pata chala keh tum nay mun nahi dhoya?
Doosra dost : mein sabun bhigona bhool gia tha.
Iqbal (Ahmad say):dunya ka sab say taqat war aadmi kon hai?
Ahmad: traffic police jo sirf hath kay aik isharay say sainkron garyan rok leta hai.
Bhikari (Aadmi say) bhayi do ropay ka sawal hai?
Aadmi : Sirf do rupay hi ka kiun?
Bhikari: Mein aadmi ki awqaat deikh kar hi mangta hon.
Baap (betay say): Tum nay tareekh mein itnay kam number kiun liye hain?
Beta: “ Abbu tareekh kay parchay mein ziadah tar sawalat aisay puchay gaye the jo meri paidaish say pehlay kay the.”
Aik perley darge ke sust-ul-wajood shaks ne apne aik dost se kaha. Bhai meri to hamesha qudrat ne madad ki hai.
Kaise?
Sust aadmi bola.
Main ne kuch darakht girane ka program banaya tha ka toofan aagia aur kuch darakht gir gia is kay baad mujhe kura karkat ke dher ko jalana tha kay aasmani bijli karki aur kura karkat kay dher khud ba khud jal kar rakh ho gia.
Ab kia program hai.
Dost ne sust-ul-wajood se pucha.
Mera program zameen se aaloo gajarain nikalne ka hai aur main is kam ke liye zalzaley ka muntazir hon.
Musafir (Gard se): gard saheb kia gari chalne mein itna waqt hai keh main chaye pi aayon.
Gard: is kay yakeen dilane kay liye mein khud aap ke sath chal sakta hon chaye pine kay liye.
Aik aadmi ko buhat pias lagi huyi thi. Woh aik sharbat walay kay pas gia aur kaha mujhay aik glass sharbat do. Phir kaha meri larayi honay wali hai.
Sharbat walay nay dheyan nahi dia aur sharbat ka glass pesh kia.
Woh aadmi sharbat pi kar bola. Mujhay aik glass sharbat aur do meri larayi honay wali hai.
Sharbat walay nay suna magar kuch kaha nahi. Phir is nay kaha.
Sharbat walay nay tisra glass bhi dia aur jab is nay sharbat pi lia to is nay pucha aap ki kis say larayi honay wali hai.
Is aadmi nay kaha. Tum say kiun keh meray pas denay kay liye sharbat kay paisay nahi hain.
Bhikari nay aik aadmi say kaha:khanay ko kuch mil sakta hai?
Is aadmi nay poocha:kal ka salan khalo gay?
Bhikari nay kaha: Ji han koi harj nahi.
Is aadmi nay kaha: acha to phir kal aajana, aaj to kuch nahi hai.
No comments:
Post a Comment