Jokes Urdu Funny Biography
Source(google.com.pk)Tum is ko rok kiun rahay ho...?
Tab us aadmi nay bataya " mein apni cheenk ko roknay ki koshish kar raha hon. Kiun keh meri biwi nay kaha tha jab bhi tumhain cheenk aaye to samajhna keh main yaad kar rahi hon. aur tum foran meray paas aajana.
Dusra aadmi bola " to is mein konsi buri baat hai?
Us aadmi nay jawab dia " woh is liye keh meri biwi mar chuki hai.
Aik saheb baray tam’taraq say rukhsat ho kar haj kay liye rawanah huye. Rastah mein niyat kharab ho gayi aur aik shehar mein deray daal liye. Do maah baad jab wapis huye to milnay walon par yeh zahir kia keh haj kar kay aarahay hain. Logon nay baray ishtiyaq say wahan ki batain pucheen aik saheb nay kaha.
“hij-re-aswad ko to aap nay dekha hoga:”
“kiun nahi. Kia kehnay in kay. Bari buzurg shakhsiyat hain.”
Aji shakhsiyat kahan. Woh to pathar hai.”
“Acha to ab pathar bun gia! Jab mein nay dekha tha is waqt to aadmi tha.”
Aik sharabi nashay mein raat gaye apnay ghar puncha.Is nay chabi talay mein dalnay ki koshish ki lekin chabi hi talay mein nahi ja rahi thi. Aik hamsaye nay sharabi say kaha "laao chabi mujhay do mein tala khol deta hon.
Is sherabi nay kaha tala to mein khol lon ga tum zara deewar ko pakar kar rakho yeh bohat ziadah hil rahi hai.
Baap betay khana kha rahay the to betay nay kaha. “abbu……….”
Baap nay kaha. “chup karo khana khatay waqt baat nahi kartay.” Jab dono baap betay nay khana kha lia to baap nay kaha. “beta tum kia keh rahay the?”
Betay nay jawab dia. Abbu roti mein makkhi thi woh aap kha gaye hain.
Aik dehati pehli bar hawayi jahaz mein sawar hua. Jab is kay urnay ka waqt hua to is nay ankhain band kar lein, do minute kay baad is nay ankhain kholein to sath baithay huye shakhs say kaha, janab hum kitni unchayi par puhanch gaye hain.
Bahir aadmi chiyon'tiyon (ants) ki tarah nazar aarahay hain.
Dusra aadmi: yeh chiyon'tiyan(ants) hi hain abhi to jahaz ura hi nahi.
Aik saheb station ki taraf jatay huye logon say pooch rahay the.
Station idhar hi hai.
Har koi jawaban kehta. Aaho
Aik khush posh saheb say jab inhon nay yahi sawal poocha to inhon nay jawab dia. Ji han
Woh saheb poochnay lagay. bhayi baaqi sab logon nay to aaho kaha hai. aap nay ji han kaha hai. farq kia hai?
Woh saheb akar kar bolay. janab parhay likhay aur mohazzib log ji han kehtay hain jabkeh un parh aur jahil qisam kay log aaho kehtay hain.
In saheb nay pucha. Kia aap parhay likhay hain?
Woh saheb foran bolay. aaho
Larka: aik litter bhains ka doodh day do.
Dhood wala tumhara tartan chota hai.
Larka acha to phir bakri ka hi day do.
Aik bar mulla nasir uddin ka gadha mar gia to gayon kay shararti bachon nay mazzaq mein rona shuru kar dia. Gayon kay chodhri nay inhain mana kia to mulla nasir uddin nay kaha. Inhain ronay dijye. Marhoom in ka bhayi tha.
Hotal mein thehray huye aik shakhs nay hotal kay malik ko jhan’jhor kar uthatay huye kaha.
Khuda ra jaldi uthye meri biwi khirki say kood kar khood kasha karna chahti hai.
To mein is silsilay mein aap ki kia madad kar sakta hon. Malik nay hairani say pucha.
Woh dar asal kamray ki khirki nahi khul rahi. Woh shakhsh jhonjhla kar bola.
Aik shakhs beghair ticket train mein safar kar raha tha. Jab ticket checker ticket check karnay aaya to is nay namaz shuru kar di. Ticket checker birth par baith gia.
Jab is shaksh nay namaz khatam ki to is ki nazar ticket chekar par pari. Is nay foran kaha. Hazar rikat namaz sunnat Allah Akbar.
Aik dehati shehar gia. Is kay pichay aik kutta(DOGS) dor para. Dehati nay pathar uthana chaha. Magar zameen kay sath jura hua tha. Dehati nay kaha. Yeh ajeeb jagah hai yehan kutton (DOG) ko khula chor detay hain aur pathar ko baandh detay hain.
Husband wife say begum raat ko ghar mein chor ghus aaye aur sara saman lay gaye aur inhon nay mujhay murgha bana kar mara pita.
Wife: aap nay shor kiun nahi macha ya.
No comments:
Post a Comment