Comedy Jokes Biography
Source(google.com.pk)Aik shakhs beghair ticket train mein safar kar raha tha. Jab ticket checker ticket check karnay aaya to is nay namaz shuru kar di. Ticket checker birth par baith gia.
Jab is shaksh nay namaz khatam ki to is ki nazar ticket chekar par pari. Is nay foran kaha. Hazar rikat namaz sunnat Allah Akbar.
Aik dehati shehar gia. Is kay pichay aik kutta(DOGS) dor para. Dehati nay pathar uthana chaha. Magar zameen kay sath jura hua tha. Dehati nay kaha. Yeh ajeeb jagah hai yehan kutton (DOG) ko khula chor detay hain aur pathar ko baandh detay hain.
Husband wife say begum raat ko ghar mein chor ghus aaye aur sara saman lay gaye aur inhon nay mujhay murgha bana kar mara pita.
Wife: aap nay shor kiun nahi macha ya.
Husband: wah bhala mein koi darpoke hon jo shor machata.
Baap betay khana kha rahay the to betay nay kaha. Abbu……….
Baap nay kaha. “chup karo khana khatay waqt baat nahi kartay.” Jab dono baap betay nay khana kha lia to baap nay kaha. “beta tum kia keh rahay the?
Betay nay jawab dia. Abbu roti mein makkhi thi woh aap kha gaye hain.
Aik truck aur rickshaw ki aapas mein takkar ho gayi. Aik rah geer nay haadsay ki jagah par mojood dusray shakhs say pucha.
Bhayi jaan. Yeh haadsah kaisay pesh aaya?
Dusray shakhs nay jawab dia. Allah behtar janta hai. nishanah to inhon nay kisi rah geer ka hi lia hoga. Pata nahi aapas mein kaisay takra gaye.
Allah ki panah….tum nay apni tangain kis buri tarah say turwalein. Aakhir yeh hua kaisay?
Doctor nay muainah karnay kay baad mareez say pucha.
Aadat ki wjah say. Mareez nay afsurdagi say jawab dia.
Dar asal ……… mein nay cigarette man hole mein phenka aur isay joton say masalnay ki koshish ki.
Aik sabzi faroosh kay han bacha paida hua. Parosi waghairah dekhnay kay liye aaye huye the. aik khotoon nay pucha. Bhayi saheb bacha kaisa hai?
Sabzi farosh bola. Bilkul taza hai.
Pathan ki biwi: sohag raat ko boli,
khan aaj aap jo maango gay main doon gi.
Pathan: khushi say
Acha tum meri maa k pass soo jao aur
Apnay bahi ko meray pass bejh do
Aik paithan naya naya Saudi Arab gia hua tha. Wahan is kay samnay do Arbon ki larayi huyi jab police aayi to is Pathan say in donon ki larayi kay baray mein pucha to paithan nay kaha.
Mujhay to aur kuch pata nahi, bas donon nay kuch aayat parhin aur larnay lagay.
ik umeed war ka interview ho raha tha aur isay yaqeen tha keh woh yeh mulazmat zarur hasil kar lega interview kay aakhir mein interview lenay walay saheb nay pucha keh acha yeh bata yain keh "Ga Pu Ji Ga Gum Gum ka kia matlab hai.
Umeedwar nay pehlay to buhat soncha phir mayusi say bola "is ka matlab yeh hai keh mujhay yeh nokri nahi mil sakti.
Do larkiyan aapas mein buhat gehri sahelyan thin ittefaaq say donon mar gayain. in ki ruhain aapas mein milin aur aik dusray say marnay ka sabab pucha.
Pehli boli. "mein apnay shohar par buhat ziadah shak karti thi keh woh meri ghair mojoodgi mein dusri larkiyon say milta hai. yahi sonch kar mein aik din office say jaldi ghar aagayi. lekin aakar dekha keh mera shohar bilkul akela baitha hai. yeh deikh kar mein itni khosh huyi keh bas khushi say mar gayi.
Dusri boli kaash is waqt tum nay fridge khol kar deikh lia hota to nah tum marti aur na mein marti.
Boss: tumhain 15 din ki chuttiyan kiu chahiye
Pathan: cousin ka shadi hai.
Boss: cousin ki shadi mein 15 chuttiyan kiun?
Pathan: Sharma kay cousin ka shadi hum say ho rahi hai.
Aik director bachat karnay ka aadi tha. Hamesha situation kay mutabiq qudrati location talash karta aur beghair set lagaye film band kar leta. Aik scine tha jis mein hero nay aik rahgeer say mar khani hoti hai. Director puray unit ko bus stand par lay gia aur hero ko samjhaya keh woh dekho aik bd surat langur numa shakhs kay baazu mein Hur numa larki hai tum ja kar isay chero mein film taiar kar leta hon.
Hero siti bajata hua is shakhs kay pas poncha aur poocha. Kia yeh itni bdsurat biwi aap ki hai? aur thappar khanay ki umeed mein apna munh kuch aagay kar dia. woh shakhs kuch na bola. Is par hero nay apna sawal dohraya. is par woh shakhs apni biwi ki taraf motawajjah hua aur bola.
dekha. Sirf mein hi nahi sari dunya tumhain bd surat kehti hai.
No comments:
Post a Comment