Urdu Jokes For Kids Biography
Source(google.com.pk)Coach (Shoib Akhtar se) “ dolat aur mehnat mein kia farq hai?”
Shoib Akhtar- “ jo raqam dusron se qarz li jaye ise dolat kehte hain aur is ki wapsi key liye jo larayi jhagra kia jaye use mehnut kehte hain.”
Pehla Player: “Mere Abbu aik darya mein chalang lagate hain aur dusre darya mein se nikal aate hain.”
Dusra Player: “ Mere Abbu darya Ravi mein chalang lagate hain aur darya-e-Sindh mein nikal aate hain.”
Teesra Player: “Mere Abbu Tanki mein chalang lagate hain aur Toti se nikal aate hain.”
Aik Martaba Waseem Akram apne driver key sath gari mein ja raha tha keh achanak is ne driver ko hokum dia. “Gari roko aur samne road par pari mung phalli utha kar le aao.”
Driver mong phali utha laya. Waseem Akram ne mong phali tori to do dane nikle. Aik is ne khud khaya aur dusra driver ko khelaya aur kaha. “Mere sath raho gey to aise hi aish karo gey.”
Aik aadmi jangal jangal se guzar raha tha
Lion: "aaj mein tumhara khoon pi jaaonga".
Aadmi: "mera khoon thanda hai, mere piche aik nojawaan aaraha hai us ka khoon garam hai uss ka khoon pina."
Lion: "nahi, aaj mera dil cold drink pine ko ji chah raha hai."
Aik bhikari Sarak(Road) par langra kar chal raha tha. Samne se teen dost aarahe the. Bhikari ko iss tarah chalet daikh kar pehle dost ne kaha. “yar dekho be chare bhikari ki tang tooti hoyi hai”.
Doosre dost ne kaha: “nahi yar! Mujhe lagta hai keh is ki tang maflooj ho gayi hai.”
Yeh sun kar tisra dost bola. “ tum donon ghalat andaze laga rahe ho, mujhe lagta hai is ki tang ko polio ho chukka hai”.
Iss baat par teenon doston mein takraar hone lagi. Bala-akhir inhon ne faislah kia keh wo bhikari se hi puch lete hain, wo teenon bhikari ke paas gaye aur is se pucha. “ bhayi saheb! Yeh aap ki tang kis tarah tooti”.
Bhikari (ghosse se teenon doston ko ghurte hoye bola) “arey! Meri tang nahi balkeh mera juta tuta hai “.
Aik dafa aik 3 ya 4 saal ka bacha masjid mein chala gia. Molwi saheb ne ise bhagana chaha to itne mein is bache ka baap aan puncha jo keh mash’hur khelari Naweed-ul-Hasan tha. Mulwi Saheb ne kaha. “Dekho ye pehle hi masjid mein kayi baar ghus kar sharar’tain kar chukka hai. yeh baat theek nahi hai ise sambhal kar rakha karo.
Naweed-ul-Hasan bola. “ Mulwi Saheb! Kiun naraz hote hain. Yeh to na samajh bacha hai. ise kia pata keh masjid mein jana hai ya nahi. Mein samajhdar hon bataiye mein kabhi masjid mein aaya hon.”
Aik dafa aik fakir aik darwaze par dastak di. Yeh shahid Afridi ka ghar tha. Shahid Afridi ne is se pucha.
“Kia baat hai:”
Fakir ne apni pocket se aik button nikal kar is ko dete huye kaha.
“Zara is button par aik coat to tank dijye.”
Do afimi sarak ke kinare baithe huye the aur bare sanjidah mood mein guftagu kar rahe the. Pehla afimi apne sathi se bola. "Bujho meri mut'thi mein kia hai?"
Dusra afimi bari maasum’yat se bola.”Rail gari ka Engine hai.”
Pehla afimi bola-“Tumhain kaise pata chala?”
Dusre ne jawab dia. “Dhuyan jo nikal raha hai.”
Aik bus driver bus buhat taiz chala raha tha. Driver achanak zor zor se qehqahe lagane laga. Is gari mein Yunus Khan bhi mojud tha.
Is ne driver se hansne ki wajah puchi to woh khil khila kar bola.
“ mein to yeh sonch kar hans raha hon keh jab pagal khane walon ko pata chale ga keh main pagal khane se farar ho gia to ki
No comments:
Post a Comment